Meri Zindagi to Firaaq Hai
Meri Zindagi to Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil K Makeen Sahi
Wo Nigah-E-Shoq Se Door Hon, Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi
Hamein Jaan Deni Hai Ek Din, Wo
Hamein Aap Khinchey Daar Per. Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi
Sar-E-Toor Ho, Sar-E-Hashar Ho, Hamein Intizaar Qabool Hai
Wo Kabi Mile, Wo Kahin Mile, Wo Kabi Sahi, Wo Kahin Sahi
Na Ho Un Per Jo Mera Bus Nahi, K Yeh Aashqi Hai Hawas Nahi
Mai Unhi Ka Tha, Mai Unhi Ka Hounn, Wo Mere Nahi To Nahi Sahi
Jo Ho Faisla Wo Sunaye, Use Hashar Per Na Uthaye
Jo Kareinge Aap Sitam Wahan, Wo Abi Sahi, Wo Yahin Sahi
Usey Dekhne Ki Jo Loo Lagi, To 'Naseer' Dekh Hi Leinge Hum
Wo Hazar Aankh Se Door Ho, Wo Hazar Parda-Nasheen Sahi
Chup Chup
Buhat Chup Chup Si Rehti Houn
Na Banti Houn , Sanwerti Houn
Na Koi Baat Karti Houn
Bharee Mehfil Main Bhi Aksar
Hamesha Khoyi Khoyi si Rehti Houn
oudasee Ankh Main Le Kar
Har Ek Chehre Ko Takti Houn
Koi Jab Yaad Aata Hai
Tu Thandi Aah Bharti Houn
Kyou Khul Kar Kyun Nahin Kehti
Kis Se Pyaar Karti Houn or
Kahan Dil Chor Aayi Houn
Comments
Post a Comment