Posts

Showing posts with the label Dard-E-Dil

Tere Bina Hum

Tere Bina hum jeena bhool jaate hain Apne dil ke zakhmon ko seena bhool jaate hain, Tu jindagi me sabse ajeezz hai hume aur har baar ye tujhse kahna bhool jaate hain. Tujh se ladoun ya teri yaadon se, Dono se hi ranjish hai meri, Par lad na saka kabhi teri yaadon se, aur   ab tujhse ladna bhi mumkin nahi.........

Bewafai shayari | Dard-E-Daastaan

Aa tu he daud k lipat ja seene say humare, Phir ishara iss taraf say hoga, yeh umeed na rakh, Ki,ik baar mohabat ki beekh maangi thi tujh say, Baar baar sar mera jhukega, yeh umeed na rakh, Na acha kiya tune iss dil ko thukra ker, Tujhko na koi thukrayega, yeh umeed na rakh, Bohat he tadpaya gam ne tere humko magar, Hum yun ghut ghut ker mar jayenge yeh umeed na rakh. Jaane Kyun ? Taraste they jo milne ko humse kabhi, Aaj woh kyun mere saaye se katrate hain, Hum bhi wahi hain dil bhi wahi hai, Na jane kyun log badal jate hain. Wafaa........... Wafa ka naam na lo yaaro, wafa dil ko dukhati hai Wafa ka naam lete hi ek bewafa ki yaad aati hai!!! Har Aasuno Mein Har aasunoN mein jo baha vo dard tumhara hai, Humne kiya pyar jo tumse to qasoor humara hai, Dil-a-naadan ghalti kar baatha, Ek bewafa sa dil laga baatha. Tumhara Jutha Pyar Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja, Tumhe apna dil deke tumhara dard liya, Tumhare khel ko me samaj na saka, Tumko bewafa kehne ka kabil na raha...