Posts

Showing posts with the label urdu shayari

Urdu Shayari, Shayari in Urdu, Sad Urdu Shayari

urdu shayari, shayari in urdu, sad urdu shayari, romantic urdu shayari, urdu poetry shayari Dil ki mere beqarari mujhse kuchch puchcho nahi Shab ki meri aah-o-zaari mujhse kuchh puchho nahi Baar-e-Gham se mujhpe roz-e-hijr mein ik ik ghadi Kya kahun hai kaisi bhaari mujhse kuchh puchcho nahi Meri surat hi se bas maaloom kar lo ham-damon Tum haqiqat meri saari mujhse kuchh puchho nahi Shaam se taa-subah jo bistar pe tum bin raat ko Maine ki akhtar-shumari mujhse kuchh puchho nahi Ham-damon jo haal hai mera karunga gar bayaan Hogi unki sharm-sari mujhse kuchch puchcho nahi

Urdu Shayari SMS, Urdu Shayri, Shayari in Urdu, Urdu Love Shayari

urdu shayari, urdu shayari sms, urdu shayri, shayari in urdu, urdu shayari love, urdu shayeri, romantic urdu shayari Zara Phir se Kehna.. Bhool chuka hoon apni daastaan zara phir se kehna. Aai kis tarah gulshan mein khizan zara phir se kehna. Sirnigoon hona wo ghunchon ka ab tak yaad hy. Kiya Qissa tha khoonchikan zara phir se kehna. Qadam kabhi iss tarah dagmagaae to na thay kabhi. Simat kiyun raha hy jahan zara phir se kehna. Dil jo dharakta tha mari yaad k saayon talay. Huwa kaisay jazbon se anjaan zara phir se kehna. Yoon to her sham ko pegham-e subah diya tu ne. Taareek sa kiyun lagta hy samaan zara phir se kehna. Taqdeer ki laghzish thi k nafas parasti ka janoon. Ajnabi sa tha andaz-e biyaan zara phir se kehna. Taray labon pe machalti hui khamosh si junmbish. Kiyun na kahaun lafzon ka ziyan zara phir se kehna. Muskrahaton mein jhalaktay huway ashak kiy maani. Koi to ho ga iss mein raaz pinhaan zara phir se kehna. Zindagi ki veeran raahon mein aaey gi bahar. Kiya tera bhi hy ye em...