Posts

Showing posts from July, 2009

Romantic Shayari | Romantic Sayari

Banke ajnabi mile the zindagi ke safar mein kahin, In yadon ke lamho ko kabhi bhulayenge nahi, Agar yaad rakhna fitrat hai aapki, To bhool jane ki aadat hamein bhi nahi!!!! Aankho me rahne walo ko yaad nahi karte, Dil me rehne walo ki baat nahi karte, Humari to rooh me bas gaye aap, Tabhi to hum milne ki fariyad nahi karte. Khushkismat Hain Hum Ke Mili Hai Mohabbat Humein, Zindagi Ke Safar Mein Aakhir Mili Hai Jannat Humein Tanhai Ka Mausam Chhaya Tha Mere Jeevan Pe Kabhi, Aaj Mausam Ka Rukh Badalne Ki Mili Hai Taaqat Humein Taqdeer Mein Apni Kahan Khushi Ka Basera Tha Dost, Aapke Pyaar Ne Kar Diya Hai Gham Se Rukhsat Humein Kehte Hain Ki Khushi Ka Doosra Naam Mohabbat Hai, Is Khushi Ko Haasil Karne Ki De Dijiye Ijaazat Humein. Bina dekhe us ki tasweer bana sakta houn, Bina mile us ka haal bata sakta houn, Meri MOHABBAT main itni taaqat hai ki, Apni aankh ke aansoo us ki aankh se gira sakta houn. Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai, Har hasrat lekin bezubaan aaj bhi hai, Manzilon ko nah

Main muntazar houn, magar teraa intezaar nahin

Hawas naseeb nazar ko kahin qaraar nahin Main muntazar houn, magar teraa intezaar nahi, Hamin se rang-e-gulistaan, hamin se rang-e-bahaar Hamin ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahi, Abhii na chher muhabbat ke geet aie mutrib Abhii hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahi, Tumhaare ahd-e-vafaa ko main ahd kyaa samjhoun Mujhe Khud apnii muhabbat kaa aitbaar nahi, Na jaane kitne gile ismein muztarib hai nadeem Vo ek dil jo kisii kaa gilaa-guzaar nahi, Gurez kaa nahiin qaa�il hayaat se, lekin Jo sach kahoun to mujhe maut naagavaar nahi, Ye kis maqaam pe pahunchaa diyaa zamaane ne K ab hayaat pe tera bhi ikhtiyaar nahi. Glossary: hawas-naseeb = lustful qaraar = satisfaction muntazir = waiting nazm-e-gulistaaN = the arrangment of the garden (system!) mutrib = singer hayaat = life maahaul = environment Khushgavaar = happy ahd-e-vafaa = the promise of love and faithfulness gile = complaints muztarib = anxious nadeem = companion gurez = running away qaa�il = consenting naagavaar = unpleasant iKhtiy

Sad Shayari | Sad Sayari | Dard Bhari Shayari

Kyon koi chah kar mohobbat nibha nhi pata, Kyon koi chah kar rishta bana nhi pata, Kyon leti hai zindagi aisi karwat, Ki koi chah kar bi pyar jata nahi pata. ********************************* Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein, Use Uski Saheliyon Ne Sajaya Hoga� Meri Jaan Ke Gore Haathon per Sakhiyon Ne Mehndi Ko Lagaya Hoga� Bahut Gehra Chadega Mehndi Ka Rang, Us Mehndi Mein Usne Mera Naam Chupaya Hoga� Reh Reh Ker Ro Padegi Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga� Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Mein, To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga� Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh, Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga� Aaj Meri Jaan Ne Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga� Usne Beti Hone Ka Doston Aaj Har Farz Nibhaya Hoga� Majboor Hogi Woh Sabse Jyada, Sochta Hoon Kis Tarah Usne Khud Ko Samjhaya Hoga� Apne Haathon Se Usne Hamare Prem Ke Khaton Ko Jalaya Hoga� Khud Ko Majboot Bana Ker Usne Apne Dil Se Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga� Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Mein, Kuch Na Us Pagli Ne Mere Bageir Khaya Ho